Friday, April 30, 2010

Teri budhi maa darwaze pe nigah basaye baithi hai,


Ke uska beta laut ayega uske paas,

Tera baap tooti parri kursi pe lachar lash ban parra hai,

Ke uske beta uska sahara ban’ne ke liye laut ayega,

Dono ke dil ki dhadkane bas yehi guzarish karti hai tujse,

Ae musafir laut aa…



Tu ghar se chala tha ek roz kehke ke laut aunga ek dinn,

Aj toh tu khat bhijwana tak bhool gaya hai,

Kabhi tujhe maa ke peron main jannat dikhayi deti thi,

Aj toh tu maa ka haal puchna tak zaruri nahin samajta,

Maa ke behte ashk cheek cheek kar kehte hai tujse,

Ae musafir laut aa…



Baap ki zindagi main kamaye hue paison se tu bahar gaya tha,

Aj toh tu do paise ghar bhijwane se katrata hai,

Kabhi tujhe baap ki dant main zindagi ka sabak dikta tha,

Aj toh tu baap ki awaz sun’na tak gawara nahin samajta,

Ek mazhoor budhe baap ka dil tadap kar kehta hai tujse,

Ae musafir laut aa…



Aj ek sandesh dena chahta hoon,

Zulm karte bachon ki ankhein kholna chahta hoon,

Bano insaan aur do mohobat maa-baap ko,

Bano unka sahara jinhone tumhe chalna seekhaya tha,

Haath jorr kar guzarish karta hai sabhi se ‘Khamosh’,

Kehta hoon bas yehi,

Ke ae musafiron laut ao…
Hum Tumhaare Hein, Zara Ek Baar Keh Do Mujhe,


Maan Bhi Jaayo, Chaahe Fir Se Bhula Dena Mujhe,

Hum Hi Naadan The Sanam…Aap Yehi Soch Lena…

Bas Ek Baar Fir…Daant Kar Samjha Le Na Mujhe.



Na Rutheinge Dubaara, Na Kabhi Sataayeinge…

Sab Kuchh Hum Aapki, Hanskar Maan Jaayeinge,

Chaahe Be-dard Naalayak Aap Kah Lo Mujhe…

Par…Ek Baar Apne Pyar Ki Chhaaya Mein Le Lo Mujhe



Aayoge To Laut Aayeingi Saari Bahaare’n Meri…

Bikhri- Bikhri Zindagi Bhi Sanwar Jaayegi Meri,

Bas Ek Baar Apne Dil Mein Panaah De Do Mujhe

Aye Jaan, Fir Se Wo Pehle Wala Pyar De Do Mujhe…